rah ga.e ashkoñ meñ laḳht-e-jigar aate aate
ruk ga.e bahr se la.al-o-gohar aate aate
tham ga.e qatra-e-ḳhūn-e-jigar aate aate
ruk ga.e mujmar-e-dil se sharar aate aate
hote hote na huā misra-e-rañgīñ mauzūñ
band kyuuñ ho gayā ḳhūn-e-jigar aate aate
tham ga.e ashk mire aañkh se Dhalte Dhalte
rah ga.e chashm-e-sadaf se guhar aate aate
rah gayā kahne pe ġhammāzoñ ke sun sun ke mirī
phir gayā yaar mirā raah par aate aate
de diyā naqd-e-dil us but ko baġhair az jaane
ho gayā raah meñ kaisā zarar aate aate
dekhte dekhte dekheñge mire jauhar-e-tab.a
ā.eñge ā.eñge ahl-e-nazar aate aate
kyā bharā zañg-e-kudūrat se ye ā.īna-dil
jo nazar aa.e na vo phir nazar aate aate
gardish-e-chashm ne kis ko tah-o-bālā na kiyā
ho ga.e zer-o-zabar raah par aate aate
ashk-e-ḳhūnī nahīñ aate haiñ jo āñkhoñ se tirī
kyuuñ rukī 'muntahī' dil kī ḳhabar aate aate