karte haiñ chain baiThe husn-o-jamāl vaale
phirte haiñ maare maare kyā kyā kamāl vaale
merī tarah se ek din bāzār se jahāñ ke
jāveñge haath ḳhālī jitne haiñ taal vaale
dam de ke phāñstā hai ushshāq ke dinoñ ko
maiñ jāntā huuñ tujh ko zulfoñ ke jaal vaale
mahshar kā ma.arka ho jis dam jahāñ ke andar
us din hameñ bachānā o lambī Dhaal vaale
bulbul haiñ tere ham bhī bāġh-e-jahāñ ke andar
o gul se gaal vaale sumbul se baal vaale
tanhā lahad ke andar hoñge gadā kī sūrat
jitne haiñ is jahāñ meñ jāh-o-jalāl vaale
zulf-e-shab-e-judā.ī terī burī balā hai
is kā ḳhayāl rakhnā o lambe baal vaale
āshiq haiñ ham bhī tere abrū ke aur ruḳh ke
ham ko bhī yaad rakhnā badr-o-hilāl vaale
bhūle haiñ do-jahāñ ko sud-bud nahīñ kisī kī
jo jo haiñ is jahāñ meñ tere ḳhayāl vaale
sayyād ne bichhāyā gulshan meñ dām-o-dāna
sun gul-ezār vaale o ḳhatt-o-ḳhāl vaale
merī tarah se ik din bāzār se jahāñ ke
jā.eñge haath ḳhālī jitne haiñ maal vaale
mansūr-o-qais-o-vāmiq farhād-o-'muntahī' se
kyā kyā ga.e jahāñ se fazl-o-kamāl vaale