jaan dī un pe mar-miTe siske
haiñ hasīñ log āshnā kis ke
un ko sikhlā.ī ham ne ārā.ish
ruuh phūñkī hai shaḳhsh-e-be-his ke
naale pahuñche ġharīb ke tā-arsh
bach ga.e dañke mard-e-muflis ke
rakh ke ḳhanjar gale pe kahtā hai
maar Daalā agar zarā khiske
bazm meñ jā milī rafīqoñ ko
kāñTe bo.e haiñ baaġh meñ bis ke
kyā batā.eñ ki kis ke āshiq haiñ
vo nazar aa.e to kaheñ is ke
naala kar kar ke dil huā ḳhāmosh
rah gayā hai pa phoḌā ris ris ke
koī ka.abe gayā haram ko koī
bande dargāh apne ghar ghis ke
gesū-e-yār agar hai dām-e-balā
ḳhāl-e-mushkīñ bhī kāñTeñ haiñ bis ke
chhoḌā piirī meñ ruuh ne tan-e-zār
jaama utrā badan se ghis pis ke
dīda-e-surma-sā kī ulfat meñ
'muntahī' ḳhaak ho ga.e pis ke