Ahmad Mushtaq

ek umr ki aur zarurat hai wahi sham-o-sahar karne ke liye

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
ik umr kī aur zarūrat hai vahī shām-o-sahar karne ke liye
vo baat jo tum se kah na sake use bār-e-digar karne ke liye
kabhī zikr kiyā tirī zulfoñ kā aur jaatī shaam ko rok liyā
kabhī yaad kiyā tire chehre ko āġhāz-e-sahar karne ke liye
fōt-pāth pe bhī sone na diyā tire shahr ke izzat-dāroñ ne
ham kitnī duur se aa.e the ik raat basar karne ke liye
us aañkh ne jis kī qismat meñ sach-much ke dar-o-dīvār na the
ḳhvāboñ ke nagar ābād kiye hasrat kī nazar karne ke liye
is behis duniyā ke aage kisī lahr kī pesh nahīñ jaatī
ab bahr kā bahr uchhāl koī ise zer-o-zabar karne ke liye
Top Urdushayar.com