Mirza Maseeta Beg Muntahi

yaad hai roz-e-azal usne kaha kya kya kuchh

Mirza Maseeta Beg Muntahi

yaad hai roz-e-azal us ne kahā kyā kyā kuchh
bar-ḳhilāf is ke yahāñ tū ne kiyā kyā kyā kuchh
huur dī ḳhuld diyā qasr diyā rahne ko
mujh gunahgār ko ḳhāliq ne diyā kyā kyā kuchh
sāl-hā-sāl bahār-e-chaman-e-ālam ne
rañg dikhlā.e haiñ ham ko ba-ḳhudā kyā kyā kuchh
gah ḳhizāñ aa.ī gulistāñ meñ kabhī bād-e-bahār
sāmne āñkhoñ ke bande ke huā kyā kyā kuchh
tohmat-e-jurm-o-jafā hirs-o-havā ġhaflat-e-dil
ham ne bāzār se hastī ke liyā kyā kyā kuchh
āsmān mehr-e-falak rū-e-zamīñ arsh-e-barīñ
peshtar is se ḳhudā jaane huā kyā kyā kuchh
bāb-e-firduas o dar-e-rauza-e-rizvāñ zāhid
band in āñkhoñ ke hote hī khulā kyā kyā kuchh
naza.a ke vaqt maiñ pūchhūñgā kisī mun.im se
saath kyā apne liyā aur rahā kyā kyā kuchh
vaqt-e-dil jaane ke hargiz na ḳhabar-dār kiyā
ab samjhātī hai ye fikr-e-rasā kyā kyā kuchh
shiddat-e-ranj-o-alam sadma-e-dil soz-e-jigar
furqat-e-yār meñ mujh par na huā kyā kyā kuchh
dair ko puujā haram ko kiye gaahe sajde
kar liyā ziist meñ bejā-o-bajā kyā kyā kuchh
jo talāfī na ho mahshar meñ ajab hai us kā
ḳhud haiñ ma.aqūl ki yaañ ham ne kiyā kyā kyā kuchh
gosh par jaam ke muñh raat ko rakh kar apnā
kis ko ma.alūm hai shīshe ne kahā kyā kyā kuchh
dāġh-e-dil ḳhūn-e-jigar ātish-e-ġham dard-e-firāq
ham ko bhī ishq kī daulat se milā kyā kyā kuchh
'muntahī' zor-e-badan quvvat-e-dil chālākī
ek aane se za.īfī ke gayā kyā kyā kuchh
Top Urdushayar.com