mumkin mujhe jo ho be-riyā ho
masnad ho ki is meñ boriyā ho
jab qābil-e-dīd dil-rubā ho
allāh kare ki bā-vafā ho
be-tābi-e-dil agar dikhā.ūñ
koī na kisī kā mubtalā ho
martā hai zar pe ahl-e-duniyā
nāmard ko kab ḳhvāhish-e-tilā ho
miTTī kar de jo aap ko to
nazroñ meñ ḳhaak kīmiyā ho
aa.ī hai fasl-e-gul chaman meñ
ai hosh-o-ḳhirad chalo havā ho
kyā mujhe dar-ba-dar phirāyā
ai ḳhvāhish-e-dil tirā burā ho
dikhlā.ī tū ne yaar kī shakl
ai jazba-e-dil tirā bhalā ho
lipTo mujhe aa ke hijr kī shab
ai gesū-e-yār agar balā ho
ai 'muntahī' bazm-e-yār kā haal
kyā jāniye ba.ad mere kyā ho