Mirza Maseeta Beg Muntahi

subh-dam uTh kar tera pahlu se jaana yaad hai

Mirza Maseeta Beg Muntahi

sub.h-dam uTh kar tirā pahlū se jaanā yaad hai
loTnā dil kā jigar kā phaḌphaḌānā yaad hai
yaar thā pahlū meñ shīshe kī parī thī sāmne
kyuuñ dil-e-nālāñ tujhe vo bhī zamāna yaad hai
sun ke ahvāl-e-mohabbat ko mirā bolā vo shoḳh
jaan dene kā tujhe achchhā bahāna yaad hai
loT thā dil qāmat-e-dildār par muddat huī
naḳhl-e-tūbā par thā apnā āshiyāna yaad hai
kaun dekhe ḳhanda-e-gul kī taraf ai andalīb
ek muddat se kisī kā muskurānā yaad hai
kyā dikhātā hai falak abr-e-siyah meñ rū-e-māh
ham ko bāloñ meñ kisī kā muñh chhupānā yaad hai
ho muqābil nāla-e-dard-e-dil-e-ushshāq ke
bāġhbāñ bulbul ko aisā bhī tarānā yaad hai
hijr kī shab niiñd aa.e āshiq-e-bīmār ko
'muntahī' tujh ko koī aisā fasāna yaad hai
Top Urdushayar.com