husn kī dil meñ mire jalvagarī rahtī hai
band is shīsha-e-nāzuk meñ parī rahtī hai
dil vahāñ khultā hai jis jā ki rahe jām-e-sharāb
daana vaañ ugtā hai jis jā ki tarī rahtī hai
tiflī-o-ahd-e-javānī kā na pūchho ahvāl
be-ḳhudī aage thī ab be-ḳhabarī rahtī hai
bāġh-e-ālam meñ nahīñ dast-e-karam ko hai zavāl
shāḳh ye vo hai jo tā-hashr harī rahtī hai
yaad meñ jām-o-surāhī ke tire ai saaqī
dil bharā rahtā hai āñkhoñ meñ tarī rahtī hai
mai-o-māshūq se daulat se bahār-e-gul meñ
chakkhiyāñ rahtī hai haiñ yāroñ kī charī rahtī hai
har ghaḌī rahtā hai ḳhayāl-e-ruḳh-e-mahbūb kā dhyān
āj-kal sāmne kotah-nazarī rahtī hai
bhiiḌ sī bhiiḌ lagī rahtī hai kūche meñ tire
jins ulfat kī magar vahāñ pe kharī rahtī hai
naqd-e-dil lete ho har ek kā be-bos-o-kanār
aap ke dhyān meñ kyā muft-barī rahtī hai
haath pakḌā hai mirā dast-e-junūñ ne jab se
har ghaḌī madd-e-nazar jāma-darī rahtī hai
baal khole nahīñ phirtā hai agar vo saffāk
phir kaho kyuuñ mujhe āshufta-sarī rahtī hai
riñd vaañ baste haiñ jis jā ho ḳhum-o-ḳhum-ḳhāna
sher vaañ rahte haiñ jis jā ki tarī rahtī hai