udaas kar ke darīche na.e makānoñ ke
sitāre Duub ga.e sabz āsmānoñ ke
ga.ī vo shab jo kabhī ḳhatm hī na hotī thī
havā.eñ le ga.iiñ aurāq dāstānoñ ke
har aan barq chamaktī hai dil dhaḌaktā hai
mirī qamīs pe tinke haiñ āshiyānoñ ke
tire sukūt se vo raaz bhī hue ifshā
ki jin ko kaan taraste the rāz-dānoñ ke
ye baat to jaras-e-shauq ko bhī hai ma.alūm
qadam uTheñ ge to bas tere nā-tavānoñ ke