bhāgne kā koī rasta nahīñ rahne dete
koī dar koī darīcha nahīñ rahne dete
āsmāñ par se miTā dete haiñ tāroñ kā surāġh
ret par naqsh-e-kaf-e-pā nahīñ rahne dete
koī tasvīr mukammal nahīñ hone paatī
dhuup dete haiñ to saayā nahīñ rahne dete
pahle bhar dete haiñ sāmān-e-do-ālam dil meñ
phir kisī shai kī tamannā nahīñ rahne dete
shahr-e-korāñ meñ bhī ā.īna farosh aate haiñ
be-tajallī koī qarya nahīñ rahne dete
tūr-e-sīnā ho ki ātish-kada-e-soz-e-nihāñ
raakh rah jaatī hai sho.ala nahīñ rahne dete