Ahmad Mushtaq

kabhi KHwahish na hui anjuman-arai ki

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
kabhī ḳhvāhish na huī anjuman-ārā.ī kī
koī kartā hai hifāzat mirī tanhā.ī kī
maiñ to gum apne nashe meñ thā mujhe kyā ma.alūm
kis ne muñh pher liyā kis ne pazīrā.ī kī
vo taġhāful bhī na thā aur tavajjoh bhī na thī
kabhī Tokā na kabhī hausla-afzā.ī kī
hichkiyāñ shām-e-shafaq-tāb kī thamtī hī na thiiñ
ab bhī ruk ruk ke sadā aatī hai shahnā.ī kī
ham se pahle bhī suḳhnavar hue kaise kaise
ham ne bhī thoḌī bahut qāfiya-paimā.ī kī
Top Urdushayar.com