nazar kī dhuup meñ aane se pahle
gulābī thā vo sañvlāne se pahle
sunā hai koī dīvāna yahāñ par
rahā kartā thā vīrāne se pahle
khilā karte the ḳhvāboñ meñ kisī ke
tire takiye pe murjhāne se pahle
mohabbat aam sā ik vāqi.a thā
hamāre saath pesh aane se pahle
nazar aate the ham ik dūsre ko
zamāne ko nazar aane se pahle
ta.ajjub hai ki is dhartī pe kuchh log
jiyā karte the mar jaane se pahle
rahā kartā thā apne zo.am meñ vo
hamāre dhyān meñ aane se pahle
muzayyan thī kisī ke ḳhāl-o-ḳhad se
hamārī shaam paimāne se pahle