makīn ko makān se nikāliye
ye nuqta āsmān se nikāliye
hamāre saath kījiye mukālima
to ḳhud ko darmiyān se nikāliye
ḳhazāna rahne dījiye zamīn meñ
havas ko dāstān se nikāliye
namī jagah banā rahī hai aañkh meñ
ye tiir ab kamān se nikāliye
hamārī chup ko sunte jaa.eñ ġhaur se
hamārī baat kaan se nikāliye
fazāoñ meñ panap rahī haiñ sāzisheñ
so bāl-o-par bhī dhyān se nikāliye
samay guzar rahā hai saañs rok kar
sadī ko imtihān se nikāliye
nikal na jaa.e baat dūsrī taraf
lakīr ik zabān se nikāliye
ḳharāb ho rahī hai jins-e-ārzū
ye maal ab dukān se nikāliye