ye jo tālāb hai dariyā thā kabhī
maiñ yahāñ baiTh ke rotā thā kabhī
tīrgī ne vahāñ dekhā hai mujhe
raushnī ne jahāñ sochā thā kabhī
apnī tafhīm kā zindānī lafz
shāḳh-e-ma.anī pe chahaktā thā kabhī
ab charā-gāh hai ta.abīroñ kī
mere ḳhvāboñ kā jazīra thā kabhī
yaad paḌtā hai tirī fursat meñ
maiñ kisī kaam se aayā thā kabhī
aaj rotī hai jo mere uupar
maiñ isī baat pe hañstā thā kabhī
ab to nazreñ bhī churā letā hai
jo mujhe ḳhvāb dikhātā thā kabhī
apnī vus.at ko nikaltā ye hujūm
merī tanhā.ī se uljhā thā kabhī
ye jo andar kā tamāshā.ī hai
mere bāhar kā tamāshā thā kabhī