havā chaltī hai dam Thahrā huā hai
fazā meñ kis kā ġham Thahrā huā hai
tasavvur meñ ubharte ḳhāl-o-ḳhad par
musavvir kā qalam Thahrā huā hai
usī ko apnī manzil kah rahā hai
jahāñ jis kā qadam Thahrā huā hai
samā.at ke jazīroñ meñ kahīñ par
tire lahje kā ram Thahrā huā hai
zarā Thahro ki chaltī hai abhī saañs
chale aao ki dam Thahrā huā hai
mire ḳhvāboñ ke ruḳhsāroñ pe ab tak
kisī bose kā nam Thahrā huā hai
ḳhudā bhī hai usī kūche kā baasī
jahāñ merā sanam Thahrā huā hai