mil-jul kar īmān ḳhudā par lā sakte haiñ
ik jannat meñ bhuuk aur pyaas samā sakte haiñ
aap agar samjhā deñ ḳhāl-o-ḳhad manzar ke
ham apnī hairat kā naam batā sakte haiñ
mere khaliyānoñ se uThte aag ke sho.ale
jhoñke tere bāġhoñ tak phailā sakte haiñ
kamre ke dam ghuT jaane kā ḳhauf na ho to
ham apnī tanhā.ī ko dohrā sakte haiñ
niiñd uḌā sakte haiñ dushman ke lashkar kī
malika ke ḳhvāboñ se phuul churā sakte haiñ
aap agar palkoñ kī chaukhaT tak aa jaa.eñ
ham apnī tasvīr se bāhar aa sakte haiñ
lamha itnī gunjā.ish rakhtā hai ḳhud meñ
aap is meñ aane se pahle jā sakte haiñ
ham bechain khilaune ik din muuD meñ aa kar
jismoñ ke show-case se bāhar aa sakte haiñ
kar sakte haiñ dariyā ko ik misre meñ qaid
aur sahrā ko ghar kī raah dikhā sakte haiñ
palkoñ kī darzoñ se jhāñkne vaale ik din
ruḳhsāroñ par aa kar shor machā sakte haiñ