Ahmad Mushtaq

tere diwane har rang rahe tere dhyan ki jot jagae hue

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
tire dīvāne har rañg rahe tire dhyān kī jot jagā.e hue
kabhī nithre suthre kapḌoñ meñ kabhī añg bhabhūt ramā.e hue
us raah se chhup chhup kar guzrī rut sabz sunahre phūloñ kī
jis raah pe tum kabhī nikle the ghabrā.e hue sharmā.e hue
ab tak hai vahī aalam dil kā vahī rañg-e-shafaq vahī tez havā
vahī saarā manzar jaadū kā mere nain se nain milā.e hue
chehre pe chamak āñkhoñ meñ hayā lab garm ḳhunuk chhab narm navā
jinheñ itne sukūn meñ dekhā thā vahī aaj mile ghabrā.e hue
ham ne 'mushtāq' yuuñ hī kholā yādoñ kī kitāb-e-muqaddas ko
kuchh kāġhaz nikle ḳhasta se kuchh phuul mile murjhā.e hue
Top Urdushayar.com