do āñkhoñ se kam se kam ik manzar meñ
dekhūñ rañg-o-nūr baham ik manzar meñ
apnī khoj meñ sargardāñ be-samt hujūm
tanhā.ī detī hai janam ik manzar meñ
titlī ko ruḳhsār pe baiThā chhoḌ aa.e
hairat ko darkār the ham ik manzar meñ
lamha lamha bharte jaa.eñ ḳhauf kā rañg
gahrī shaam aur tez qadam ik manzar meñ
ghaat meñ baiThā koī dānish-var mujh ko
gar detā hai roz raqam ik manzar meñ
ab jo apnā saaya DhūñDhtā phirtā hai
jā nikle the bhuul ke ham ik manzar meñ