ḳhud se apnā aap milāyā jā saktā hai
tanhā.ī kā haath baTāyā jā saktā hai
ḳhāmoshī jab hamla-āvar honā chāhe
chaurāhe par shor machāyā jā saktā hai
hairānī kā qarz chukānā paḌ jaa.e to
āñkhoñ kā ehsān uThāyā jā saktā hai
dhartī par kuchh sabz rutoñ kā bhes badal kar
charvāhe kā ḳhvāb churāyā jā saktā hai
un kī tiira zulfoñ se tashbīheñ de kar
shab ko rāh-e-rāst pe laayā jā saktā hai
nā-mumkin hai paanī par tasvīr banānā
lekin us par sher banāyā jā saktā hai
bhūlā jā saktā hai ḳhud ko barsoñ barsoñ
roz kisī ko yaad bhī aayā jā saktā hai