phir se darpesh safar kā qissa
ek TuuTe hue ghar kā qissa
ham ne ta.avīz kī sūrat bāñdhā
dil se nikle hue Dar kā qissa
gosha-e-chashm kā jalte rahnā
ḳhushk hote hue tar kā qissa
ḳhair ne bāñjh zamīnoñ pe likhā
lahlahāte hue shar kā qissa
phailte phailte kaisā phailā
be-gharī terī ḳhabar kā qissa
biij ko ḳhāk-e-numū tū baḳhshe
khiltā jā.egā shajar kā qissa