Abdul Majeed Salik

KHirad mein mubtila hai salik diwana barson se

Abdul Majeed Salik

Gurdaspur, Punjab, India

1894-1959
ḳhirad meñ mubtilā hai 'sālik' dīvāna barsoñ se
nahīñ aayā vo mai-ḳhāne meñ bebākāna barsoñ se
mayassar jis se aa jaatī thī saaqī kī qadam-bosī
muqaddar meñ nahīñ vo laġhzish-e-mastāna barsoñ se
ba-yād-e-chashm-e-yār ik nāra-e-mastāna ai saaqī
ki haao hū se ḳhālī hai tirā mai-ḳhāna barsoñ se
tujhe kuchh ishq o ulfat ke sivā bhī yaad hai ai dil
sunā.e jā rahā hai ek hī afsāna barsoñ se
kisī ko to musharraf kar de ai zauq-e-jabīñ-sā.ī
taqāzā kar rahe haiñ kaaba o but-ḳhāna barsoñ se
na.ī sham.eñ jalāo āshiqī kī anjuman vaalo
ki suunā hai shabistān-e-dil-e-parvāna barsoñ se
koī jauhar-shanās aa.e to jaane qadar 'sālik' kī
paḌā hai ḳhaak par ye gauhar-e-yak-dāna barsoñ se
Top Urdushayar.com