charāġh-e-zindagī hogā farozāñ ham nahīñ hoñge
chaman meñ aa.egī fasl-e-bahārāñ ham nahīñ hoñge
javāno ab tumhāre haath meñ taqdīr-e-ālam hai
tumhīñ hoge faroġh-e-bazm-e-imkāñ ham nahīñ hoñge
jiyeñge jo vo dekheñge bahāreñ zulf-e-jānāñ kī
sañvāre jā.eñge gesu-e-daurāñ ham nahīñ hoñge
hamāre Dūbne ke baad ubhreñge na.e taare
jabīn-e-dahr par chhaTkegī afshāñ ham nahīñ hoñge
na thā apnī hī qismat meñ tulū-e-mehr kā jalva
sahar ho jā.egī shām-e-ġharībāñ ham nahīñ hoñge
agar maazī munavvar thā kabhī to ham na the hāzir
jo mustaqbil kabhī hogā daraḳhshāñ ham nahīñ hoñge
hamāre daur meñ Dālīñ ḳhirad ne uljhaneñ lākhoñ
junūñ kī mushkileñ jab hoñgī āsāñ ham nahīñ hoñge
kahīñ ham ko dikhā do ik kiran hī TimTimātī sī
ki jis din jagmagā.egā shabistāñ ham nahīñ hoñge
hamāre baad hī ḳhūn-e-shahīdāñ rañg lā.egā
yahī surḳhī banegī zeb-e-unvāñ ham nahīñ hoñge