mire dil meñ hai ki pūchhūñ kabhī murshid-e-muġhāñ se
ki milā jamāl-e-sāqī ko ye tantana kahāñ se
vo ye kah rahe haiñ ham ko tire haal kī ḳhabar kyā
tū uThā sakā nigāheñ na batā sakā zabāñ se
jo unheñ vafā kī sūjhī to na ziist ne vafā kī
abhī aa ke vo na baiThe ki ham uTh ga.e jahāñ se
maiñ adam ke lāla-zāroñ meñ navā-gar-e-azal thā
mujhe khīñch laa.ī zālim tirī aarzū kahāñ se
mirī sarnavisht meñ thā vahī dāġh-e-nā-murādī
jo milā mirī jabīñ ko tire sañg-e-āstāñ se
bache bijliyoñ kī zad se vahī tā.erān-e-dānā
jo kaḌak chamak se pahle nikal aa.e āshiyāñ se
ye hai mājrā-e-vahshat ki milā surāġh-e-mahmil
na ġhubār-e-kārvāñ se na darā-e-kārvāñ se
nahīñ kuchh samajh meñ aatā ye ajiib mājrā hai
ki zamīñ ke rahne vāloñ ko hidāyat āsmāñ se
shab-e-ġham jo aa.ī 'sālik' miTe bātnī andhere
mirā dil huā munavvar tab-o-tāb-e-jāvedāñ se