na mohtasib kī na hūr-o-jināñ kī baat karo
mai-e-kuhan kī nigār-e-javāñ kī baat karo
kisī kī tābish-e-ruḳhsār kā kaho qissa
kisī ke gesū-e-ambar-fishāñ kī baat karo
ziyā hai shāhid-o-sham.a-o-sharāb se us kī
faroġh-e-mahfil-e-rūhāniyāñ kī baat karo
jo mudda.ā ho kisī qibla-e-murād kā zikr
to āstāna-e-pīr-e-muġhāñ kī baat karo
nahīñ huā jo tulūa āftāb to filhāl
qamar kī baat karo kahkashāñ kī baat karo
rahegā mashġhala-e-yād-e-raftgāñ kab tak
guzar rahā hai jo us kārvāñ kī baat karo
ye qaid-o-said ke andesha-hā-e-be-jā kyā
chaman kī fikr karo āshiyāñ kī baat karo
yahī jahān hai hañgāma-zār-e-sūd-o-ziyāñ
isī ke suud isī ke ziyāñ kī baat karo
ab is chaman meñ na sayyād hai na gulchīñ hai
karo to ab sitam-e-bāġhbāñ kī baat karo
ḳhudā ke zikr kā mauqa nahīñ yahāñ 'sālik'
dayār-e-hind meñ husn-e-butāñ kī baat karo