ġham ke hāthoñ mire dil par jo samāñ guzrā hai
hādisa aisā zamāne meñ kahāñ guzrā hai
zindagī kā hai ḳhulāsa vahī ik lamha-e-shauq
jo tirī yaad meñ ai jān-e-jahāñ guzrā hai
hāl-e-dil ġham se ye hai jaise kisī sahrā meñ
abhī ik qāfila-e-nauha-garāñ guzrā hai
bazm-e-doshīñ ko karo yaad ki is kā har rind
raunaq-e-bār-gah-e-pīr-e-muġhāñ guzrā hai
pā-ba-gul jo the vo āzurda nazar aate haiñ
shāyad is raah se vo sarv-e-ravāñ guzrā hai
nigrānī-e-dil-o-dīda huī hai dushvār
koī jab se mirī jānib nigarāñ guzrā hai
hāl-e-dil sun ke vo āzurda haiñ shāyad un ko
is hikāyat pe shikāyat kā gumāñ guzrā hai
vo gul-afshānī-e-guftār kā paikar 'sālik'
aaj kūche se tire ashk-fishāñ guzrā hai