Abdul Majeed Salik

wo hai hairat-faza-e-chashm-e-mani sab nazaron mein

Abdul Majeed Salik

Gurdaspur, Punjab, India

1894-1959
vo hai hairat-fazā-e-chashm-e-ma.anī sab nazāroñ meñ
taḌap bijlī meñ us kī iztirāb us kā sitāroñ meñ
madad ai iztirāb-e-shauq tū jān-e-tamannā hai
nikal ai sabr terā kaam kyā hai be-qarāroñ meñ
ye kis kā naam le kar jaan dī bīmar-e-ulfat ne
ye kis zālim kā charchā rah gayā tīmār-dāroñ meñ
zarā sī chheḌ bhī kaafī hai mizrāb-e-mohabbat kī
ki naġhme muztarib haiñ barbat-e-hastī ke tāroñ meñ
kahāñ kā shaġhl ab to daur hai ḳhūñ-nāba-e-ġham kā
vahī qismat meñ thī jo pī chuke aglī bahāroñ meñ
Top Urdushayar.com