ashk dāman meñ bhare ḳhvāb kamar par rakkhā
phir qadam ham ne tirī rāhguzar par rakkhā
ham ne ik haath se thāmā shab-e-ġham kā āñchal
aur ik haath ko dāmān-e-sahar par rakkhā
chalte chalte jo thake paañv to ham baiTh ga.e
niiñd gaThrī pe dharī ḳhvāb shajar par rakkhā
jaane kis dam nikal aa.e tire ruḳhsār kī dhuup
muddatoñ dhyān tire sāya-e-dar par rakkhā
jaate mausam ne palaT kar bhī na dekhā 'mushtāq'
rah gayā sāġhar-e-gul sabza-e-tar par rakkhā