Ahmad Mushtaq

TuT gaya hawa ka zor sail-e-bala utar gaya

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
TuuT gayā havā kā zor sail-e-balā utar gayā
sañg-o-kulūḳh rah ga.e lahar ga.ī bhañvar gayā
vo bhī ajiib daur thā dil kā chalan hī aur thā
shaam huī to jī uThā sub.h huī to mar gayā
kis ke bañdhe hue the ham dāman-e-māhtāb se
ham bhī udhar udhar ga.e chāñd jidhar jidhar gayā
kitne rafīq-o-ham-safar jin kī milī na kuchh ḳhabar
kis ke qadam uThe kidhar kaun kahāñ pasar gayā
bujh ga.ī raunaq-e-badan uḌ gayā rañg-e-pairahan
jaan umīd-vār-e-man vaqt bahut guzar gayā
Top Urdushayar.com