zamīñ se ugtī hai yā āsmāñ se aatī hai
ye be-irāda udāsī kahāñ se aatī hai
ise na.e dar-o-dīvār bhī na rok sake
vo ik sadā jo purāne makāñ se aatī hai
badan kī boss nasīm-e-libās bū-e-nafas
koī mahak ho usī ḳhāk-dāñ se aatī hai
diloñ kī barf pighaltī nahīñ hai jis ke baġhair
vo aañch ek ġham-e-be-nishāñ se aatī hai
suḳhan-varī hai nazar se nazar kā nāz-o-niyāz
aruuz se na zabān-o-bayāñ se aatī hai