Kaami Shah

agar main sach kahun to sabr hi ki aazmaish hai

Kaami Shah

1979
agar maiñ sach kahūñ to sabr hī kī āzmā.ish hai
ye miTTī imtihāñ pyāre ye paanī āzmā.ish hai
nikal kar ḳhud se bāhar bhāgne se ḳhud meñ aane tak
farār āḳhir hai ye kaisā ye kaisī āzmā.ish hai
talāsh-e-zāt meñ ham ko kisī bāzār-e-hastī meñ
tirā milnā tirā khonā alag hī āzmā.ish hai
nabūd o buud ke phaile hue is kār-ḳhāne meñ
uchhaltī kūdtī duniyā hamārī āzmā.ish hai
mire dil ke darīche se uchak kar jhāñktī bāhar
gulābī eḌiyoñ vaalī anokhī āzmā.ish hai
ye tū jo ḳhud pe nāfiz ho gayā hai shaam kī sūrat
to jaanī shaam kī kab hai ye terī āzmā.ish hai
diye ke aur havāoñ ke marāsim khul nahīñ paate
nahīñ khultā ki in meñ se ye kis kī āzmā.ish hai
Top Urdushayar.com