Kaami Shah

nabud o bud ke manzar banata rahta hun

Kaami Shah

1979
nabūd o buud ke manzar banātā rahtā huuñ
maiñ zard aag meñ ḳhud ko jalātā rahtā huuñ
tire jamāl kā sadqa ye ātish-e-raushan
charāġh āb-e-ravāñ par bahātā rahtā huuñ
duā.eñ us ke liye haiñ sadā.eñ us ke liye
maiñ jis kī raah meñ bādal bichhātā rahtā huuñ
udaas dhun hai koī un ġhazāl āñkhoñ meñ
diye ke saath jise gungunātā rahtā huuñ
ajiib sust-ravī se ye din guzarte haiñ
maiñ āsmān pe shāmeñ banātā rahtā huuñ
maiñ uḌtā rahtā huuñ niile samundaroñ meñ kahīñ
so titliyoñ ke liye ḳhvāb laatā rahtā huuñ
ye mujh meñ phail rahā hai jo iztirāb-e-shadīd
to phir ye tai hai use yaad aatā rahtā huuñ
Top Urdushayar.com