agar kār-e-mohabbat meñ mohabbat raas aa jaatī
tumhārā hijr achchhā thā jo vaslat raas aa jaatī
galā phāḌā nahīñ karte rafū daryāft karne meñ
agar bekār rahne kī mashaqqat raas aa jaatī
tumheñ sayyād kahne se agar ham baaz aa jaate
hameñ bhī is tamāshe meñ sukūnat raas aa jaatī
faqat ġhussa piye jaate haiñ roz o shab ke jhagḌe meñ
koī hañgāma kar sakte jo vahshat raas aa jaatī
agar ham paar kar sakte ye apnī zaat kā sahrā
to apne saath rahne kī sahūlat raas aa jaatī