ab manzil-e-sadā se safar kar rahe haiñ ham
ya.anī dil-e-sukūt meñ ghar kar rahe haiñ ham
khoyā hai kuchh zarūr jo us kī talāsh meñ
har chiiz ko idhar se udhar kar rahe haiñ ham
goyā zamīn kam thī tag-o-tāz ke liye
paimā.ish-e-nujūm-o-qamar kar rahe haiñ ham
kaafī na thā jamāl-e-ruḳh-e-sāda-e-bahār
zebā.ish-e-giyāh-o-shajar kar rahe haiñ ham