zindagī apnī ḳhvāb jaisī hai
ḳhūb-rū be-naqāb jaisī hai
sehn-e-gulshan meñ aap kī hastī
shāḳh par ek gulāb jaisī hai
kabhī Duubī hai aur kabhī ubhrī
āshiqī bhī hubāb jaisī hai
hosh meñ rah ke bhī hai be-hoshī
ziist apnī sharāb jaisī hai
un kī shoḳhī to hai bahār-e-chaman
sādgī mahv-e-ḳhvāb jaisī hai
hai karishma ye un kī āñkhoñ kā
ḳhāmushī bhī ḳhitāb jaisī hai
guzre lamhoñ ke saath saath 'anvar'
zindagī inqalāb jaisī hai