Anwar Jamal Anwar

dard-e-dil ki dawa hai mah-e-nau

Anwar Jamal Anwar

Barabanki, Uttar pradesh, India

1944
dard-e-dil kī davā hai māh-e-nau
āsmāñ par khilā hai māh-e-nau
merī hī tarah terā bhī un se
kyā koī vāsta hai māh-e-nau
un kā chehra dikhā.ī detā hai
kyā koī aa.ina hai māh-e-nau
muskurātā hai dekh kar ham ko
jaise sab jāntā hai māh-e-nau
din ko sotā hai vo na jaane kahāñ
raat ko jāgtā hai māh-e-nau
rah ke merī tarah se chup 'anvar'
jaane kyā sochtā hai māh-e-nau
Top Urdushayar.com