zamāna uf ye kaisā ho rahā hai
jo sīdhā thā vo ulTā ho rahā hai
ab ahl-e-ilm meñ tārīkiyāñ haiñ
jahālat meñ saverā ho rahā hai
vahāñ par zindagī kaise bachegī
jahāñ qātil masīhā ho rahā hai
bashar kā maqsad-e-taḳhlīq dekho
use honā thā kyā kyā ho rahā hai
ye hai taqlīd-e-maġhrib kā natīja
judā muslim se parda ho rahā hai
hamārī rāst-goī kaam aa.ī
vafā honā thā va.ada ho rahā hai
jamāl-e-fikr-o-fan kā tere 'anvar'
suḳhan-dānoñ meñ charchā ho rahā hai