Anwar Jamal Anwar

raat ka kya zikr hai sham-o-sahar aaya nahin

Anwar Jamal Anwar

Barabanki, Uttar pradesh, India

1944
raat kā kyā zikr hai shām-o-sahar aayā nahīñ
kaun sā ilzām hai jo mere sar aayā nahīñ
yuuñ to rāh-e-be-ḳhatar meñ rahnumā milte rahe
pur-ḳhatar rāhoñ meñ koī rāhbar aayā nahīñ
kaun jaane kis ke Dar se aaj phir merā rafīq
chāhtā thā mere ghar aanā magar aayā nahīñ
is qadar qurbat baḌhī har naqsh dhundlā ho gayā
vo thā mere sāmne lekin nazar aayā nahīñ
dil ko kyā kahiye ki vo qātil ke ghar ḳhud hī gayā
laakh koshish kī magar vo raah par aayā nahīñ
laakh andeshoñ ne 'anvar' gher rakkhā hai mujhe
raat sar par aa ga.ī aur nāma-bar aayā nahīñ
Top Urdushayar.com