Anwar Jamal Anwar

be-ghar tha phir chhoD gaya ghar jaane kyun

Anwar Jamal Anwar

Barabanki, Uttar pradesh, India

1944
be-ghar thā phir chhoḌ gayā ghar jaane kyuuñ
paar kiyā hai saat samundar jaane kyuuñ
āñkheñ hairāñ dil vīrāñ haiñ chehre zard
chīḳh rahā hai manzar manzar jaane kyuuñ
āñkhoñ meñ mazlūmoñ ke bas aañsū haiñ
fikr meñ hai har ek sitam-gar jaane kyuuñ
taptī riit jhulaste saa.e tund havā
ghar se niklā mom kā paikar jaane kyuuñ
phuul sā chehra jhiil sī us kī āñkheñ haiñ
yaad aatā hai mujh ko aksar jaane kyuuñ
aate jaate sab se bāteñ kartā thā
chup baiThā hai aaj qalandar jaane kyuuñ
merī ġhazleñ sun kar 'anvar' chāhat se
dekhtā hai har ek suḳhnavar jaane kyuuñ
Top Urdushayar.com