tark jis din se kiyā ham ne shakebā.ī kā
jā-ba-jā shahr meñ charchā huā rusvā.ī kā
ġhair dāġh-e-dil-e-sad-chāk na monis na rafīq
zor aalam pe hai aalam mirī tanhā.ī kā
pahroñ hī apne ta.iiñ aap huuñ bhūlā rahtā
dhyān aatā hai jab apne mujhe harjā.ī kā
zalzala gor meñ majnūñ kī paḌā rahtā hai
apnā ye shor hai ab bādiya-paimā.ī kā
jalva us kā hai har ik ghar meñ basān-e-ḳhurshīd
farq hai apnī faqat aah ye bīnā.ī kā
kalma-e-haq bhī dam-e-naz.a na niklā muñh se
shaiḳh ko dhyān thā aisā but-e-tarsā.ī kā
kashish-e-nāla use kahte haiñ ab vo jo 'surūr'
mahv-e-nazzāra huā apne tamāshā.ī kā