fasl-e-gul meñ jo koī shāḳh-e-sanobar toḌe
bāġhbāñ ġhaib kā us kā vahīñ phir sar toḌe
dast-e-sayyād meñ kahtī thī ye kal bulbul-e-zār
kyā rihā.ī kā mazā hai jo mire par toḌe
ḳhaak bhī ḳhuun kī jā niklī na yahāñ ai pyāre
be-sabab haa.e ye fazā duun ne nishtar toḌe
vasl ke tishna-laboñ ko na ho māyūsī kyuuñ
daur par un ke falak haa.e jo sāġhar toḌe
mere dilbar ko milā de jo koī mujh se 'surūr'
abhī detā huuñ zar-e-surḳh ke sattar toḌe