Rajab Ali Beg Suroor

kis tarah par aise bad-KHu se safai kijiye

Rajab Ali Beg Suroor

Lucknow, Uttar pradesh, India

1785-1869
kis tarah par aise bad-ḳhū se safā.ī kījiye
jis kī tīnat meñ yahī ho kaj-adā.ī kījiye
jab masīhā kī ho marzī kaj-adā.ī kījiye
is jagah kyā dard-e-dil kī phir davā.ī kījiye
us se khiñch rahtā huuñ jab tab ye kahe hai mujh se dil
āshiqī yā kījiye yā mīrzā.ī kījiye
gar ye dil apnā kahe meñ apne hove nāsehā
baiTh kar kunj-e-qanā.at meñ ḳhudā.ī kījiye
kyā yahī thī shart kuchh insāf kī ai tund-ḳhū
jo bhalā ho aap se us se burā.ī kījiye
vo bhalā-chañgā huā bargashta mujh se aur bhī
kyā bayāñ naale kī apne nā-rasā.ī kījiye
khā gayā laġhzish qadam aisā butoñ ko dekh kar
jī meñ ye aayā ki tark-e-pārsā.ī kījiye
aks ho mālūm us kā ghar hī baiThe ai 'surūr'
pahle zañg-e-dil kī jab apne safā.ī kījiye
Top Urdushayar.com