Rajab Ali Beg Suroor

quran kitab hai ruKH-e-jaanan ke samne

Rajab Ali Beg Suroor

Lucknow, Uttar pradesh, India

1785-1869
qur.āñ kitāb hai ruḳh-e-jānāñ ke sāmne
mus.haf uThā luuñ sāhab-e-qur.āñ ke sāmne
jannat hai gard kūcha-e-jānāñ ke sāmne
dozaḳh hai sard sīna-e-sozāñ ke sāmne
sakta abhī ho rūh-e-sikandar ko sharm se
ā.īna aa.e gar tire hairāñ ke sāmne
bahr-e-ummīd gar use phailā.ūñ sū-e-yār
dāmān-e-dasht tañg ho dāmāñ ke sāmne
dast-e-junūñ se vo bhī na vahshat meñ bach sakā
parda jo kuchh rahā thā garebāñ ke sāmne
mashshāta ho azīz-e-zuleḳhā agar vo laa.e
is mehr-e-misr ko mah-e-kan.āñ ke sāmne
nādān kah rahe haiñ jise āftāb-e-hashr
zarra hai us ke rū-e-daraḳhshāñ ke sāmne
dam band us latoḌe kī jur.at ne kar diyā
kartā hai rez bulbul-e-bustāñ ke sāmne
dīvār surḳh ḳhuun se dekhī patā milā
qāsid Thahar gayā dar-e-jānāñ ke sāmne
kahte haiñ roz-e-vasl jise past-hausla
be-qadr hai mirī shab-e-hijrāñ ke sāmne
taqrīr dil jalātī hai sunñe se ai 'surūr'
aatā hai kaun mujh sharar-afshāñ ke sāmne
Top Urdushayar.com