Rajab Ali Beg Suroor

is tarah aah kal hum us anjuman se nikle

Rajab Ali Beg Suroor

Lucknow, Uttar pradesh, India

1785-1869
is tarah aah kal ham us anjuman se nikle
fasl-e-bahār meñ juuñ bulbul chaman se nikle
aatī lapaT hai jaisī us zulf-e-ambarīñ se
kyā taab hai jo vo bū mushk-e-ḳhutan se nikle
tum ko na ek par bhī raham aah shab ko aayā
kyā kyā hī aah o naale apne dahan se nikle
ab hai duā ye apnī har shaam har sahar ko
yā vo badan se lipTe yā jaan tan se nikle
to jāniyo muqarrar us ko 'surūr' āshiq
kuchh dard kī sī hālat jis ke suḳhan se nikle
Top Urdushayar.com