karūñ shikva na kyuuñ charḳh-e-kuhan se
ki furqat Daalī tujh se gul-badan se
tirī furqat kā ye sadma paḌā yaar
zabāñ nā-āshnā ho ga.ī suḳhan se
dam-e-takfīn bhī gar yaar aave
to nikleñ haath bāhar ye kafan se
khilā hai taḳhta-e-lāla-jigar meñ
hameñ kyā kaam ab sair-e-chaman se
na pahuñchā gosh tak ik tere haihāt
hazāroñ naala niklā is dahan se
dimāġh-e-jāñ meñ hai ye bū-e-kākul
ki nafrat ho ga.ī mushk-e-ḳhutan se
jigar par laakh teshe ġham ke nit haiñ
rahī nisbat hameñ kyā kohkan se
'surūr' aatā hai jab vo yād-dilbar
to jaañ bas merī ho jaatī hai san se