Rajab Ali Beg Suroor

naseha faeda kya hai tujhe bahkane se

Rajab Ali Beg Suroor

Lucknow, Uttar pradesh, India

1785-1869
nāsehā fā.eda kyā hai tujhe bahkāne se
kār-e-hushyār kahīñ bhī huā dīvāne se
na ġharaz kaabe se matlab hai na but-ḳhāne se
hai faqat zauq mujhe yaar ke ghar jaane se
vo uThā kyā ki abr-e-karam pahlū se
chashm se chashm bahe shoḳh ke uTh jaane se
sozish-e-dil na yaqīñ ho to jigar chiir ke dekh
aable lākhoñ paḌe tere hī ġham khāne se
Top Urdushayar.com