Rajab Ali Beg Suroor

yun jo DhunDo to yahan shahr mein anqa nikle

Rajab Ali Beg Suroor

Lucknow, Uttar pradesh, India

1785-1869
yuuñ jo DhūñDo to yahāñ shahr meñ anqā nikle
chāhne vaalā jo chāho to nā-aslā nikle
jī meñ hai chiir ke siina maiñ nikālūñ dil ko
tā kisī Dhab se to pahlū kā ye kāñTā nikle
maraz-e-ishq ye mohlik hai ki us ke Dar se
charḳh-e-chārm ye jo DhūñDo to masīhā nikle
hai yaqīñ gor pe gar merī to aa jaave kabhī
diid ko terī mirā qabr se murdā nikle
jāñ-kanī meñ hai taḌaptā dil-e-betāb 'surūr'
mere iisā se kaho yahāñ bhī kabhī aa nikle
Top Urdushayar.com