Rajab Ali Beg Suroor

kya ghazab hai ki chaar aankhon mein

Rajab Ali Beg Suroor

Lucknow, Uttar pradesh, India

1785-1869
kyā ġhazab hai ki chaar āñkhoñ meñ
dil churātā hai yaar āñkhoñ meñ
chashm-e-kaifī ke surḳh Doroñ se
chhā rahī hai bahār āñkhoñ meñ
gir paḌā tifl-e-ashk ye machlā
maiñ ne rokā hazār āñkhoñ meñ
nahīñ uThtī palak nazākat se
surma hotā hai baar āñkhoñ meñ
itnī chhānī hai ḳhaak tere liye
chhā rahā hai ġhubār āñkhoñ meñ
jab se apnā laqab huā hai 'surūr'
roz o shab hai ḳhumār āñkhoñ meñ
Top Urdushayar.com