Rajab Ali Beg Suroor

mariz-e-hijr ko sehat se ab to kaam nahin

Rajab Ali Beg Suroor

Lucknow, Uttar pradesh, India

1785-1869
marīz-e-hijr ko sehat se ab to kaam nahīñ
agarche sub.h ko ye bach gayā to shaam nahīñ
rakho yā na rakho marham us pe ham samjhe
hamāre zaḳhm-e-judā.ī ko iltiyām nahīñ
jigar kahīñ hai kahīñ dil kahīñ haiñ hosh o havās
faqat judā.ī meñ is ghar kā intizām nahīñ
koī to vahshī hai kahtā koī hai dīvāna
butoñ ke ishq meñ apnā kuchh ek naam nahīñ
sahar jahāñ huī phir shaam vaañ nahīñ hotī
basān-e-umr-e-ravāñ apnā ik maqām nahīñ
kiyā jo vāda-e-shab us ne din pahāḌ huā
ye dekhiyo mirī shāmat ki hotī shaam nahīñ
vahī uThā.e mujhe jis ne mujh ko qatl kiyā
ki behtar is se mire ḳhuuñ kā intiqām nahīñ
uThāyā dāġh-e-gul afsos tum ne dil pe 'surūr'
maiñ tum se kahtā thā gulshan ko kuchh qayām nahīñ
Top Urdushayar.com