Rajab Ali Beg Suroor

lazim hai soz-e-ishq ka shola ayan na ho

Rajab Ali Beg Suroor

Lucknow, Uttar pradesh, India

1785-1869
lāzim hai soz-e-ishq kā shola ayaañ na ho
jal-bujhiye is tarah se ki mutlaq dhuāñ na ho
zaḳhm-e-jigar kā vā kisī sūrat vahāñ na ho
paikān-e-yār is meñ jo shakl-e-zabāñ na ho
allāh re be-hisī ki jo dariyā meñ ġharq hoñ
tālāb kī tarah kabhī paanī ravāñ na ho
gul ḳhanda-zan hai chahchahe kartī hai andalīb
phailī huī chaman meñ kahīñ zāfarāñ na ho
bhāgo yahāñ se ye dil-e-nālāñ kī hai sadā
bahke ho yaaro ye jaras-e-kārvāñ na ho
hastī adam se hai mirī vahshat kī ik shalañg
ai zulf-e-yār paañv kī tū beḌiyāñ na ho
lenā bajā.e fātiha turbat pe nām-e-yār
marne pe ye ḳhayāl hai vo bad-gumāñ na ho
naaqa chalā hai najd meñ lailā kā be-mahār
majnūñ kī ban paḌegī agar sār-bāñ na ho
chāloñ se charḳh kī ye mirā azm hai 'surūr'
is sarzamīñ pe jā.ūñ jahāñ āsmāñ na ho
Top Urdushayar.com