bhalā kyoñ faisla vo bhī usī daurān le baiThā
samajh meñ ab use aayā ki kyā nuqsān le baiThā
use lagtā thā kuchh bhī vo kisī ke saath kar degā
magar kitnā baḌā vo shaḳhs hai nuqsān le baiThā
agar himmat tumheñ hai to akhāḌe meñ laḌo jā kar
kisī lāchār ko to maar apnī shaan le baiThā
agar patthar tirā dil hai to sun le ġhaur se phir tū
samajh le mard kahlāne kī tū pahchān le baiThā
bahut mushkil se miltī hai adab kī zindagī lekin
suḳhan-var kyoñ ise itnā hai phir āsān le baiThā